Tuesday, May 10, 2011

pak v/s india semi final

30 march 2011 ko mohali kay medan may wazir e azam yousif raza gilani or mannohang sing ki mojoodgi may pak bharat semi final match khela gaya. jis may bharat nay toss jeet kar phlay balay bazi ka fasila kiya.
is mookay per javed mindad ka khana tha k " haar jeet ka fasila toss per nahi kia jata ". mukhtalif tv channels per bharat k toss jeetnay per bahas o mubaisay kiya gaya jin may beshter logo ka ya khayal tha k pakistan k jeetnay ka inkan kam nazar ata hai q k bharat ki balay bazi kafi haad tak bhater hai q k match mohali yani bharat ki sar zameen may khela ja raha hai to pitch b bharti team k heesab say banai jaya gi.
match may tendulkar or sehwag ko opener k tor per bhaja gaya or dono ki bhateren carkardagi rahi lakin pakistan ki kharab feilding ki waja say tendulkar ko kafi muwakay miltay rahay lakin wo bagair century k out ho gaya is thara or khelariyo nay apni  carkardagi dekhai or 260 runs ka hadaf diya.
kamran or hafeez ko balay bazi k liya opener k tor per bhaja gaya  oraista aista  khelari out hotay chalay gaya or misbha or younis b ziada runs na bana saky or out ho gaya.pakistani team 231 runs bana kar out ho gai or pakisan ko shekast or bharat  ko final nay pochnay ka mooka farham kar gai or tendulkar ko man of tha match qarar diya gaya.

No comments:

Post a Comment