Tuesday, May 10, 2011

University news



jinnah university baraya khawateen ki library may asataza ki tadad zaida pai jati hai waha per moojod talba ilm ka ya khana hai k asataza ki ziada tadad honay k bawajood yaha namaz o zabt ka khayal nahi rakha jata waha mojood talbat ko parnay may dikkat peesh ati hai.
asataza ka kam talba ilm ko kamoosh karwana or library k asoolo ka khayal rakhna hai. library may asataza khud gappay marnay may magan pai jaati hain.
humaray library k incharge ko chaya k library ka sakti say jaiza lay or maheenay nahi balkay her haftay yaha ka jaiza lia jaya.

Mela

jinnah universit barata khawateen may 26 march 2011 suba 10 bajay melay ka inaqat kiya gaya. melay may nam wer siyasi shaksiyat fasial sabswari or raza haroon nay b shirket ki or media say guftagoo karty howay unho nay talbat k kam ko sarhaya or un ka hosla buland kiya.


melay may thara thara k istal lagaya gaya jo k kawateen or bachoo k shok say munasibat rakhty thy jaysa k churiya,kapray, khelnay k progrm jis nay inamat ka khasa intazam dekhnay may aya,bacho or khawateen kay liya face painting or hato per mukhtalif design dekhnay may aya
mehndi ka ak hath 35 rupee may lagaya ja rha tha jab k churiyo 70 60 tak k dam may mil rahi thi. melay may khanay peenay kay sath sath hath dekhnay walay istal may b khasa hajoom dekhnay may aya jis may larkiya kafi lutf andoz ho rahi thi.
ak taraf larkiyo or bacho k liya juloo ka b intazam tha or sab munasib qeemat ada kar k juloo k mazay lay rahay thay.
jinan  university baray khawateen may her saal melay ka innkat kiya jata hai jis may kawateen or bachoo ki bechteer tadad shirkat karti hai or talbat apnay faan o hunar ko logo tak pochatay hain or melay k intazam nay bhar char k hissa laytay hain.

Mid term


ager mid term ya final term ka papers ka andaza lagana ho to is ka andaza kisi b taleemi institute ki photostate shop,kitaboo ki dukan ya phir library say ba asani lagya ja sakta hai jasay k jinnah university baraya khawateen jaga mid term ki amad hai or larkiya zaida per ya to photostate ki shop, kitaboo ki dukan ya phir library may nazar atti hain.
jinnah university baraya khawateen ki shooba zara a iblag e ama may miss batool ko haata diya gaya hai jab k mid term ki waja say talbaat ko pershani ka samna hai. miss batool BS 3rd year k do mazameen parhaya karti thi jin may ak broadcast journalism hai or  national international affairs shamil hai.
broadcast journalism miss humera ko dai diya gaya hai or national international miss sabeen parhaya ge lakin chair person sir naseem ka khana hai k national international ka paper wo khud taiyar karay gay.

pak v/s india semi final

30 march 2011 ko mohali kay medan may wazir e azam yousif raza gilani or mannohang sing ki mojoodgi may pak bharat semi final match khela gaya. jis may bharat nay toss jeet kar phlay balay bazi ka fasila kiya.
is mookay per javed mindad ka khana tha k " haar jeet ka fasila toss per nahi kia jata ". mukhtalif tv channels per bharat k toss jeetnay per bahas o mubaisay kiya gaya jin may beshter logo ka ya khayal tha k pakistan k jeetnay ka inkan kam nazar ata hai q k bharat ki balay bazi kafi haad tak bhater hai q k match mohali yani bharat ki sar zameen may khela ja raha hai to pitch b bharti team k heesab say banai jaya gi.
match may tendulkar or sehwag ko opener k tor per bhaja gaya or dono ki bhateren carkardagi rahi lakin pakistan ki kharab feilding ki waja say tendulkar ko kafi muwakay miltay rahay lakin wo bagair century k out ho gaya is thara or khelariyo nay apni  carkardagi dekhai or 260 runs ka hadaf diya.
kamran or hafeez ko balay bazi k liya opener k tor per bhaja gaya  oraista aista  khelari out hotay chalay gaya or misbha or younis b ziada runs na bana saky or out ho gaya.pakistani team 231 runs bana kar out ho gai or pakisan ko shekast or bharat  ko final nay pochnay ka mooka farham kar gai or tendulkar ko man of tha match qarar diya gaya.